Dard de kar mujhe kyun todta hai zamana
Jese samundar par miti se gharonde bana kr mitana,
Main bhi mit'ti hon roz sabhi ki baaton se
Kabhi un ke darr se kabhi unki ankhon se,
Roz chubhta hai mujhe sab ka yun todna
Roz bikharta hai is dil ka safeena,
Roz bikharti hai khushiyan meri
Roz banta hai dard mera nageena.

No comments:
Post a Comment