Buhat asaan hota hai kisi se alvida kehna
Kisi se doori le kar ke khud ko akela kar dena,
Uski khushiyon ki khatir khud ko
Yun tanha be zarar sa karna,
Magar dard kyun deta hai uska
Hume yun be wafa kehna,
Jab ke uski khushiyon ki khaatir hi
Humne Doori banayi us se,
Uske aage badhne main na zanjeer baandhi humne
Usko khushiyon main saath rakha apne,
Bas ghum main shareek na banaya use
Jiske liye jeeiye hum uske ghum main hume ab marna hai,
Buhat chaha jisko toot kar humne
Us se ab akhri baar milna hai.

No comments:
Post a Comment