Har baar hi kyun mere saath aesa hota hai
Jisko chahti wohi mujhse kyun bichhad jata hai,
Jisko chahti wohi mujhse kyun bichhad jata hai,
Har kisi se to muhabbat nahi mangi main ne
Phir bhi har insan kyun mujhko hi zakham deta hai,
Phir bhi har insan kyun mujhko hi zakham deta hai,
Jisko chaha hai agar wohi na mile humko
Rab bhi aesi saza hum ko kyun diya karta hai,
Rab bhi aesi saza hum ko kyun diya karta hai,
Jab kisi ko toot kar chaho ek baar
Wohi shakhs kyun har baar dagha deta hai,
Wohi shakhs kyun har baar dagha deta hai,
Bin dagha kyun nahi milti wafa insano main
Kiya wafa ka naam hi ik dagha hota hai.
Kiya wafa ka naam hi ik dagha hota hai.

No comments:
Post a Comment