Kisi ke saath ka wo pal bada anmool lagta hai
Kisi ke dil main basne ka bada hi mool hota hai,
Muhabbat is kadar ho gayi hai ab hume unse
Ke jab tak saath ho unka tabhi khud ka mool lagta hai,
Wo jab kareeb hota hai to dil jhoom uthta hai
Ke jin lamhon main wo na sang ho buhat hi mehsos hota hai,
Wo jiska hath thaam kar hum chale hai har nagar
Ke jiske baghair har pal hume maghror lagta hai,
Kabhi to darr lagta hai ke wo mil payega hume
Ke bin uske humara har pal zindagi se door karta hai,
Bin uske kahin marr na jaye hum
Bass yehi soch kar hume buhat hi darr lagta hai.

No comments:
Post a Comment