Ek anjan sa sapna bandha hai
Kisi anjan ko apna mana hai,
Shayad wo dil ka saathi hai
Is dhadkan ka wohi saathi hai,
Use dekha tha to khuwab main hi
Bas samne dekhna baki hai,
Use dekh ke hum jab jaage hai
Us khuwab ko humne pana hai,
Usko jab apna mana hai
Har rishta hi us sang bandha hai,
Ab ek baar hume wo mil jaye
Us rab se yehi bs manga hai

No comments:
Post a Comment