Jo beet gaya usko bhulaya kyun nahi jata
Jo ho raha hai usko apnaya kyun nahi jata,
Maazi kab tak peechha karega mera
Kyun mustakbil ko mujhse apnaya nahi jata,
Kyun mustaqil girte hai mujh pr hi sitam
Kyun ansoo ko mustqil mujhse chhupaya nahi jata,
Kyun aage badhne ko mera dil nahi hai manta
Kyun kisi par mujhse aitbaar kiya nahi jata.

No comments:
Post a Comment